Itihaas pariksha thi us din,Chinta se hriday dhadkta tha,
The bure shagun ghar se hi mera baaya nain fadakta tha.
Jo jo sawal the yaad kiye, wo b kul aadhey yaad yaad hue,
Kuch unme se bhi school talak aate aate barbaad hue.
Tum 20 minute ho late,gate par chapraasi ne batlaaya,
Main mail train ki tarah daudta kamre k bheetar aaya.
Parcha haatho me thaam liya,Aankhey moondi tuk jhoom gaya,
Padhte hi chaya andhkaar, Chakkar aaya sir ghoom gaya.
Tha 100 number ka parcha,mujhko thi 2 ki bhi aas nahi,
Chahe saari duniya palte, par ho sakta main pass nahi.
O question likhne wale kya muh lekar Answer de hum,
Jo likh de tu teri marzi, ye paper h ya Atom Bum.
Fir aankh moond kar baith gaya, bola Bhagwan daya kar de,
In sab questions k answers mere dimaag me tu bhar de.
Draupdi samajhkar mujhko, mera bhi cheer badhao tum,
Main vish kha kar mar jaunga,jo jaldi na aaye tum.
Aakash fata aur aayi Ambar se ek awaaz tabhi,
Moorkh vyarth kyu rota h,zara aankh uthakar dekh yahi.
Geeta kehti h karm karo,fal ki chinta mat kiya karo,
Jo kuch bhi yaad aaye mann m,wo paper m likh diya karo.
Bas fir kya tha….
Maine likha Panipat ka dusra yudh hua tha Saawan me,
Japan Germany beech hua yudh 1857 me.
Likha ki Mahatma Budh Gandhi jee k chele the,
Bachpan me vo Gandhi k sang Aankh micholi khele the.
Babar ka pota tha Akbar,Akbar ka Dada tha Babar,
Tha Gupt vesh me Raaj kiya Raziya Begam ne Bharat p.
Taimur log roz uthte hi 2 ghante naachte the,
Aurangzeb rang m aakar,auro ki jeb kat ta tha.
Bas issi tarah Anokhey Bhawo k footey andar se fuwwarey,
Jo jo sawal the puche nahi unke bhi Answer de mare.
Ho gaya tha Teacher pagal sa, mere Paper ko dekh dekh,
Bola in sab bachho me honhaar h yahi ek.
Baaki sab paper fek diye,mere sab Answer chaant liye,
Zero Number dekar baaki saare number kaat liye.